Stories with Prathmesh Yelne

Prathmesh Yelne

Hey this is Prathmesh Yelne. I am a Indian writer, songwriter, perfomer, singer and storyteller. In this podcast i have narrates song heart touching poetry and stories. So, if you dont wann to miss, Follows our podcast. MY SOCIAL MEDIA: Instagram : @Shayarix(https://www.instagram.com/shayarix/) Facebook : https://www.facebook.com/shayarix.in.. For any business enquiry : songs@codegyan.in Subscribe on youtube from here : https://www.youtube.com/c/shayarix... read less
ArtsArts

Episodes

#3 - Episode 1 | Mere Shayar Banne Ki Kahani | Sad love story in hindi | Prathmesh Yelne
Jun 20 2022
#3 - Episode 1 | Mere Shayar Banne Ki Kahani | Sad love story in hindi | Prathmesh Yelne
Sab puchhte hai mujhse ke mai ye shayari kaise banata hu... itna dard hai mere dil me phir bhi kaise mai likh pata hu... ab kya batau dastan tumhe apne is shayrana safar ki... pahle barbaad hua puri tarah se mai tab kahi ja kar zamane ne kadar ki... zindagi me kuch lamhat maine ayese kate the, mera dil meri aankh bepanah ro rahi thi... phir dhire dhire mai nashe ka aadi sa hota chla gya... gum aur gumnami ke andhere me khota sa chala gya... mujhse ab ghut ghut kar jiya nhi jata tha... is gum ka zahar ab mujh se piya nhi jata tha... magar phir khyal mujhe maa baap ka aaya... usi khayal ne phir se mujhe jina sikhaya... apno ke liye jhothi khushi me maine jeena sikh liya... sab ke samne muskura kar maine ansuo ko pina sikh liya... magar dil ka dard jab had par karta tha... use yaad kar mai akele me har pal marta tha... kisi ko apna hale dil kah na sakta tha... aur bin kahe yaado ko daba kar mai zinda rah na sakta tha... phir maine kalam aur kagaz ko apna hathiyar bnaya... anjane me hi sahi maine apne dil ka dard shayariyo ke zariye har ek ko sunaya... dekha to mere dard ki kadar hi badh gyi hai... jaha dekho waha mere shayro ki hi chrcha c chal rahi hai... honsla milta gya mai likhta gya... kaise apne dard ko lafzo me byan karna hai ye sikhta gya... aaj mere dard ka sooroor zamane pe kya khoob chhaya hai... bas itni c kahani ki wajah se hi aaj "ANMOL" ka badnaam shayaro me naam aaya hai.....